ye zindagi ki kitab hai...
kabhi majbur to kabhi behisab hai
milta nai sab kuch is jivan me
fir bhi ye ek haseen gulab hai
ye zindagi ki kitab hai...
dard hai, tanhayi hai
charo tarf ruswai hai
ankho me fir bhi khwab hai
ye zindagi ki kitab hai...
kabhi gamgeen, kabhi meherbaan
kabhi dariya hai jaise bezubaan
kai chehre hai iske, ajab ye naquab hai
ye zindagi ki kitab hai...
sahil
ne dubaya kabhi, tufaan ne sambhala hai
pehlu
be pehlu guzarti rahi, khel iska nirala hai
ajab sa nasha hai isme jaise mehkti sharab hai
ye zindagi ki kitab hai...
iske geet ko gaa kar bhi mann, lafzo ko samajh nai pata hai
sawalo
me ulajh kar insaan raasta kho jata hai
par rukne ka nam nahi zindagi, har kadam ka yahan hisab hai
ye zindagi ki kitab hai...

No comments:
Post a Comment