Tuesday, 29 January 2013


khwaisho k par laga k fir udungi

hoga meri ummido ka aasman.

puri hongi hasratein meri

phir khilega wo phoolon ka jahan.


chattano ko tod dungi

hawa ka rukh mod dungi

badlegi disha behti dhar ki

shikha ke dwar khol dungi.


jab pighlegi wo medha ki salakhein

fir tutegi bandishon ki deeware

apne sapno ki naav me baith kar

khoj lungi ek din kinare.


mehnat ki kadi dhup me jalkar

paa lungi anand ki chhaanv

phir udenge mere aashaon ke panchchi

phir hoga mere khwabo ka gaav.
dur hoga tufano ka daur

dur hoga ghanghor andhera

rakh dungi khud ko jhakjhor k

fir hoga sham se savera.


haar se na manungi haar

jeet lungi aakash sara

pighla dungi patthar ko b

aankhon me hogi chamak dobara.


hai dil me roshni mere

chir dungi sab andhere

par khulne ki deri hai

dor hogi hatho me mere.

kuch to hai zarur dil mera kitna majbur hai
tu jane na ye jo bhi hai, tera hi kasur hai
tujko pukare dil, ek bar aa ke mil
naino me tera hi to noor hai
kuch to hai zarur, dil mera kitna majbur hai...
tere sang beete din, mehki ho sari raatein
hatho me hath thame, kehni hai laakho baatein
tujse kahu bhi to kaise, chup rahu bhi to kaise
dil pe chhaya jo tera hi surur hai
kuch to hai zarur, dil mera kitna majbur hai...
hua ye na jane kaise, mujh ko na thi khabar
dil haar baithi me to, hua ye kaisa asar
bawra-sa dil mera, ho gaya hai ab tera
sayiyaan tu hi mujse itna kyun door hai
kuch to hai zarur, dil mera kitna majbur hai...

ye zindagi ki kitab hai...
kabhi majbur to kabhi behisab hai
milta nai sab kuch is jivan me
fir bhi ye ek haseen gulab hai
ye zindagi ki kitab hai...
dard hai, tanhayi hai
charo tarf ruswai hai
ankho me fir bhi khwab hai
ye zindagi ki kitab hai...
kabhi gamgeen, kabhi meherbaan
kabhi dariya hai jaise bezubaan
kai chehre hai iske, ajab ye naquab hai
ye zindagi ki kitab hai...
 
sahil ne dubaya kabhi, tufaan ne sambhala hai
pehlu be pehlu guzarti rahi, khel iska nirala hai
ajab sa nasha hai isme jaise mehkti sharab hai
ye zindagi ki kitab hai...
iske geet ko gaa kar bhi mann, lafzo ko samajh nai pata hai
sawalo me ulajh kar insaan raasta kho jata hai
par rukne ka nam nahi zindagi, har kadam ka yahan hisab hai
ye zindagi ki kitab hai...

Ishq ek junoon he...
Ishq ek sukoon he...
Baaton me nahi aankhon se ishq jhalakta he...
Kitabon me nahi khwabon me ishq panapta he...
Hum
kya jaane ishq ki ehmiyat ko,
ishq ki gehraaiyaan to pata hoti he sirf ek sache ishaqzaade ko...
Hume
nahi pata ishq kya he
par
Ishq se jisko ishq hua he,
wo kehte he ishq khuda he...
Ishq hume kya bakshega...
Jab
khuda ne ishq ko banaya hoga,
Ishq ne khud khuda ko bhi azmaaya hoga..

Monday, 28 January 2013


Har sapna apna ho jaye to kya baat he,
khwabo me he jo, wo hakikat ban jaye to kya baat he...
Manzil paana aasan nahi,
par
jo har tufaan paar kar apni manzil paa jaye to kya baat he....
Yun to milte he hazaro log is zindagi me...
Par
koi dil ko chhu jaye to kya baat he...
Bolne par to har koi samajhta he,
koi bin bole hi sab samajh jaaye to kya baat he....
Jeette to kai log he...
Par
koi haar k bhi jeet jaaye to kya baat he....
Kaash hume bhi koi aisa mile jiski har baat me lage Kya Baat He.......!!!!

Kitna ajeeb he naa,
jise hum nafrat karte he use chilla chilla k batate he ....
Par
jise chahte he, hum use bata hi nahi paate...
Bhale hi humare doston ko bata dete he, par jise batana chahiye, use hi nahi keh paate....
Koi is tarah hume khaas kyu lagne lagta he...
Duniya k liye shaayad wo kuch nahi,
par fir
bhi wo humara sab kuch bann jata he...
Ye
jaante hue bhi ki shayad hum use kabhi bhi nahi paa sake
fir
bhi Deewano ki tarah hum use chahne lagte he....
Paana to dur shayad hum use bata bhi naa sake apne dil ka haal,
par fir
bhi uske baare me sochk humara haal ho jata he behaal...
Usse bahut kuch kehna to chahte he,
par
uske saamne aate hi sab kuch bhul jaate he
aur bas use hi dekhte reh jaate he....
Kyu kisi aur k haaton me hoti he humari dil ki ye dor...
Aur kyu humari har khushi ki wajah humari jagah ban jata he koi aur...
Kisi
bhi Bahane se unse baat karne k tarike dhunte rehte he,
aur pata nahi kya kya sapne bunte rehte he....
Ae khuda, ye kesa tarika he tera,
tune
dil to humare seene me diya.....
Par
dhadkan kisi aur ko bana diya .....