khwaisho
k par laga k fir udungi
hoga meri ummido ka aasman.
puri hongi hasratein meri
phir khilega wo phoolon ka jahan.
chattano ko tod dungi
hawa
ka rukh mod dungi
badlegi disha behti dhar ki
shikha ke dwar khol dungi.
jab pighlegi wo medha ki salakhein
fir tutegi bandishon ki deeware
apne sapno ki naav me baith kar
khoj lungi ek din kinare.
mehnat ki kadi dhup me jalkar
paa lungi anand ki chhaanv
phir udenge mere aashaon ke panchchi
phir hoga mere khwabo ka gaav.
dur hoga tufano ka daur
dur hoga ghanghor andhera
rakh dungi khud ko jhakjhor k
fir hoga sham se savera.
haar
se na manungi haar
jeet lungi aakash sara
pighla
dungi patthar ko b
aankhon
me hogi chamak dobara.
hai dil me roshni mere
chir dungi sab andhere
par khulne ki deri hai
dor hogi hatho me mere.

No comments:
Post a Comment