Jaana suno , kuchh to kaho, hamse yu naa rutha karo
Ab
chhodo bhi
kal
ki
baatein
Sataati hai
hamaari beeti yaadein
Yu
na
hamse muh
ferra karo
Jaana suno kuchh to kaho
Baithi hu
akele tumhaare bin
Karti hu
intezaar din
gin gin
Ki
kab
tum
mere paas
aaoge,
Aur
baato hi baato
mein mujhe hasaaoge
Yu
naa
ghadi ghadi tadpaaya karo
Jaana suno kuchh to kaho
Tumhe gudgudaana , hasaana aankh michein hue
Gaalo ko
kheechna binparwaah kie
Chhote chhote waadein , wo
khilkhilaati mulaakatein
Yu
naa
bhul jaaya karo agle pal
Jaana suno kuchh to kaho

No comments:
Post a Comment