Kitna mushkil hai mohabbat ki kahaani likhna , jaise paani se paani pe paani likhna
Wo ek alag sa ehsaas tha , tha alag sa junoon ,us
se mil
kar milta tha
is dil ko sukoon
Uske intezaar mein kati itni saari raatein , sab chhoti chhoti kasme , har pyaar bhari baatein
Naa rok paae khud ko
ham izehaar kar baithe , bin soche samjhe kisi
se pyaar kar baithe
Apne aap se zyaada aitbaar kia us par
,
wo chhod gayaa akele zindagi ki raah par magar
Kyaa pataa tha na karega wo meri fikar , ab dobaara mohabbat karne
se lagta hai darr
Mannatein maangi thi ek waqt jisko paane
k lie
Ab utne hi bechain hai
use gawaane k lie


No comments:
Post a Comment