Tuesday, 22 January 2013

Love is a blend of different emotions


Tu     meri    rooh     meri     saaso    me    esa     samaaya
Jese   ek   ajab   gazab   sa
Thoda   sarfira sa jaadu chhaya
Jab
jab khudko tanhaa paaya tujhe bulaaya
Tere na hone par bhi har jagah tera saaya paaya


Teri  saadhagi me kuchh esi kho gai hu
Krishn  ki  meera  si  baawari ho gai hu
Teri  in 
aakho   k  paigaam  me dube hue
Me
pahali baar gumsum ho gai hu


Is dil me itne sawaal itna darr he
Fir
bhi in hoton pe muskaan na kam he
Rote
rote bhi tune hi hasna sikhaaya he
Shaayad islie in dhadkano pe tune kabzaa jamaaya he


Yoon to hamaare beech milo k faasle he
Fir
bhi mene apne dil ko tera thikaana banaaya he
Mehandi k rang sa pyaar ka rang bhi chadhta jaa rahaa he

Par jaane kyu is khayaal se hi aaj mann ghabraaya hai

Ki kahi tujhe kah du to tu ruth naa jaae

Pyaar ho naa ho ye dosti kaa naata bhi toot naa jaae

2 comments: